अक्षरधाम मंदिर दिल्ली में पहली बार


Hii Friends .........

Yah bat bhi isi saal ki hai jb me first time Akshar Dham gaya. Presently me Noida me rah raha hoon. Yahan se yah famous mandir pass me hi hai. Bs achanak se weekend par Akhar Dham Mandir jana tay hua. Apni is tyari ke liye humne evening me jane ka vichar kiya kyonki evening me Musical Fountaion arti dekne yaogya hai. Me aur mere sath 2 aur dost bhi sath me chalne ke liye tyar ho gye

Program ke anusar hum sab log evening me nikle . Sabi log via auto se Metro Staion-15 pahunche. Sab logo ne blue line wali train ka ticket liya aur ab Akshar Dham ke liye aane wali train ka wait karne lage. Kuch der bad hi Dwarka ki metro aayi bheed jyada nhi thi isliye koi problem nhi hui. Sec-15 station se metrao chali aur New Ashok nagar, Mayur Vihar Phase 1, Mayur Vihar Extension ke bad Akshardham  platform par thi. Man me Mandir ko dekhne badi utsukta thi ek majedar baat yah h ki metro station se hi Akshar Dham Temple bilkul clear dikh raha tha. Mere saath ka ek dost isse pahle bhi ja chuka tha isliye unhone hamare liye as a guide ka work kiya.


Metro station se niche utre. Bahar auto ,texi wale madir jane ke liye awaj laga rahe the . Evening ke 6 baj chuke the. Mandir metro staion se pas me hi hai aur paidal hi jaya ja sakta hai. Lekin foreigh tourist ke liye to nhi na. Mostly wo lg to auto ya taxi se hi jate hai. Hum sab ne road cross ki aur dusri side me chalne lage . Kya khoobsurat mandir hai sach me man hi man me ye soch raha tha. Philahal bheed bare hue raste se hum mandir ke gate no 3 par pahunche . Entry karne ke bad token lekar line me lag gaye . Sabse acchi aur suvidha janak bat yah hai ki gate se entry ke liye koi carge nahi lagta hai. Mandir Ke andar Leather luggege jaise belt , purse and mobile etc things le jana allow nhi hai. Iske liye alag se ek basket me lugguage jama krke token lena padta hai. Jiska koi cahrge nhi lagta hai. Philahal hum log line me lage hue the such me kafi bheed thi kafi foreigner bhi mandir ke liye aaye hue the jo apni reserve line me wait kar rahe the. 30 Minute line me wait krne ke bad hum log madir parisar me pahunche.

Kafi accha lag raha tha aur man me musical fountation dekhne ki bhi utsukta horhi thi . Ek taraf log photography kar rahe the to dusri taraf mandir bhi evening me lights ke karan kafi sundar lag raha tha. Musical fountaion ke liye ticket liya gya aur hum log fountain ke pass hi the kuch der ke bad program start hua . really kya nice arti ho rhi thi with fountain. Aur bhi bahut se log is function ko entertain kar rahe the.15-20 minute ke is program ko dekhne ke bad hum log main madir me gye kafi accha lag raha tha . Uske bad kafi der ghumte rahe aur kuch shopping bhi ki . Ab hum log vapus gate ke pas aaye log abhi bhi aa rahe the school ki busses bhi thi.

Khel Gaoun bhi Akshar Dham Mandir ke pass hi hai. Vapus sabhi log metro station par aaye paw bhaji aur golgappe ka test kiya phir vapus Noida City Center ko jane wali metro me baithkar vapus aaye. I hope nest time jab bhi plan banega to khel gaon bhi dekhane jaunga.


No comments:

Post a Comment