Hi friends yah meri pahli blog posting hai. Please ap jarur batana kaisi lagi yah posting.
Jab me class10 me tha.Tab pahli bar poornagiri mandir jane ka sanyog bana. Apki jankari ke liye batate chalen ki Poornagiri Madir Uttrakhand state ke Champawat distt me Tankpur ke pas hai. Yah sthan mere yhan se kareeb 200 km padta hai. Bahut hi religious place hai. Maine apne 4 aur friends ke sath jane ka program banaya.Us samay may month tha aur mela bhi chal rha tha. Apne program ke hisab se hmne morning me 6am wali train se chalne ka vichar kiya. Ham 5 log right time 5:30 am pr shahjahnpur distt ke mini railline pr pahunch gye. Train plateform pr lag gyi thi. Yah meri apni samajh me pahli rail yatra thi. Train me kafi bheed thi phir be sbi logo ko sheet mil gyi. Aur train 6:30 pr plateform se rawana hui. Man me itni utsukta thi ki yun hi bata nhi skte.Hum log ghar se propr khane ki vyawastha krke chale the. Dheere dheere train chalti gyi aur hum log apas me bate krte rahe. 11.00 am ke kareeb train Pilibhit station pr pahunchi. Sabhi logo ne lunch kiya. Actual me hum sb ne plan banaya tha ki morning me chalke agle din even tk vapas bhi aana hai. Apki jaankari ke liye batate chale ki poornagiri mandir ke darsan ke saath saath Sidh Baba Mandir ke bhi daran krna subh mana jata hai jo Nepal me hai.